اردو हिंदी
Shahid Kabir Shayari | Shaahi Shayari

Shahid Kabir Shers

16 Shers

aap ke dam se to duniya ka bharam hai qaem
aap jab hain to zamane ki zarurat kya hai

Shahid Kabir




e-sabab baat baDhane ki zarurat kya hai
hum KHafa kab the manane ki zarurat kya hai

Shahid Kabir


Tags: | 2 Lines Shayari |


gham ka KHazana tera bhi hai mera bhi
ye nazrana tera bhi hai mera bhi

Shahid Kabir




girne do tum mujhe mera saghar sambhaal lo
itna to mere yar karo main nashe mein hun

Shahid Kabir


Tags: | 2 Lines Shayari |


is soch mein zindagi bita di
jaga hua hun ki so raha hun

Shahid Kabir




itni jaldi to badalte nahin honge chehre
gard-alud hai aaine ko dhoya jae

Shahid Kabir


Tags: | 2 Lines Shayari |


kanTon ko pila ke KHun apna
rahon mein gulab bo raha hun

Shahid Kabir


Tags: | 2 Lines Shayari |


kaun hai apna kaun paraya kya sochen
chhoD zamana tera bhi hai mera bhi

Shahid Kabir




kuchh to ho raat ki sarhad mein utarne ki saza
garm suraj ko samundar mein Duboya jae

Shahid Kabir


Tags: | 2 Lines Shayari |