abhi se chhoTi hui ja rahi hain diwaren
abhi to beTi zara si meri baDi hui hai
Shabana Yousaf
agar bichhaDne ka us se koi malal nahin
'shabana' ashk se phir aankh kyun bhari hui hai
Shabana Yousaf
ek yahi soch bichhaDne nahin deti tujh se
hum tujhe baad mein phir yaad na aane lag jaen
Shabana Yousaf
KHud charaghon ko andheron ki zarurat hai bahut
raushni ho to unhen log bujhane lag jaen
Shabana Yousaf
main hath bandhe hue lauT aai hun ghar mein
ki mere pars mein ek aarzu mari hui hai
Shabana Yousaf
mere aane ki KHabar sun ke wo dauDa aata
us ko pahuncha nahin paigham yahi lagta hai
Shabana Yousaf
mujh ko bhi kar dega ruswa wo zamane bhar mein
KHud bhi ho jaega badnam yahi lagta hai
Shabana Yousaf
ye to socha hi nahin us ko juda karte hue
chun liya hai gham bhi KHushiyon ko riha karte hue
Shabana Yousaf