aise kuchh hadse bhi guzre hain
jin pe main aaj tak nahin roi
Seema Ghazal
e-qarari se mere pas wo aaya lekin
us ne puchha bhi to bas ye ki fulan kaisa hai
Seema Ghazal
ek aawaz main ne suni thi abhi kaun bola tha ye to KHabar hi nahin
ye talluq zaruri hai kis ne kaha wo bhi KHamosh tha main bhi KHamosh thi
Seema Ghazal
jazbon par jab barf jame to jina mushkil hota hai
dil ke aatish-dan mein thoDi aag jalani paDti hai
Seema Ghazal
KHud apne-ap se milne ki KHatir
abhi koson mujhe chalna paDega
Seema Ghazal
main ek roz use DhunD kar to le aaun
wo apni zat se bahar kahin mile to sahi
Seema Ghazal
main ne kaha tha mujh ko andhere ka KHauf hai
us ne ye sun ke aaj mera ghar jala diya
Seema Ghazal
mujh ko us ke nahin KHud mere hawale karte
kam se kam ye to mere chahne wale karte
Seema Ghazal
sard hote hue wajud mein bas
kuchh nahin tha alaw aankhen thin
Seema Ghazal