anjam KHushi ka duniya mein sach kahte ho gham hota hai
sabit hai gul aur shabnam se jo hansta hai wo rota hai
Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz
dil to dil afai-e-gesu wo bala hai kafir
is ka kaTa koi afi bhi na pani mange
Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz
hum ro ro ashk bahate hain wo tufan baiThe uThate hain
yun hans hans kar farmate hain kyun mard ka nam Dubota hai
Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz
KHuda ne munh mein zaban di hai to shukr ye hai ki munh se bolo
ki kuchh dinon mein na munh rahega na munh mein chalti zaban rahegi
Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz
miTTi ka hi ghar na hoga barbaad
miTTi tere tan ka ghar bhi hoga
Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz
shab-e-firaq ka chhaya hua hai rob aisa
bula bula ke thake hum qaza nahin aai
Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz
'shahbaz' mein aib hi nahin kul
ek aadh koi hunar bhi hoga
Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz