aaina chupke se manzar wo chura leta hai
tu sajata hai badan jab kabhi uryani se
Sarfraz Nawaz
adan-sarae mein Thahra hua musafir hun
chuka raha hun kiraya main chand sanson ka
Sarfraz Nawaz
e-sada si kisi aawaz ke pichhe pichhe
chalte chalte main bahut dur nikal jata hun
Sarfraz Nawaz
hum apne shahr se ho kar udas aae the
tumhaare shahr se ho kar udas jaana tha
Sarfraz Nawaz
ishq adab hai to apne aap aae
gar sabaq hai to phir paDha mujh ko
Sarfraz Nawaz
KHuda kare ki wahi baat us ke dil mein ho
jo baat kahne ki himmat juTa raha hun main
Sarfraz Nawaz
kitna dushwar hai ek lamha bhi apna hona
us ko zid hai ki main har haal mein us ka ho jaun
Sarfraz Nawaz
mere baghair koi tum ko DhunDta kaise
tumhein pata hai tumhaara pata raha hun main
Sarfraz Nawaz
safar kahan se kahan tak pahunch gaya mera
ruke jo panw to kandhon pe ja raha hun main
Sarfraz Nawaz