aise lage hai naukri mal-e-haram ke baghair
jaise ho 'dagh' ki ghazal baada o jam ke baghai
Sarfaraz Shahid
awamunnas ko aise dabocha hai girani ne
ki jaise cat ke panje mein koi rat hota hai
Sarfaraz Shahid
ajaT ki kai saKHtiyan aur bhi hain
abhi ishq ke imtihan aur bhi hain
Sarfaraz Shahid
faqat rang hi un ka kala nahin hai
isi qism ki KHubiyan aur bhi hain
Sarfaraz Shahid
hum ne to unhen jamia se naqd KHarida
phir kis tarah jali huin asnad hamari
Sarfaraz Shahid
id par masrur hain donon miyan biwi bahut
ek KHaridari se pahle ek KHaridari ke baad
Sarfaraz Shahid
is daur ke mardon ki jo ki shakl-shumari
sabit hua duniya mein KHwatin bahut hain
Sarfaraz Shahid
koi KHush-zauq hi 'shahid' ye nukta jaan sakta hai
ki mere sher aur naKHre tumhaare ek jaise hain
Sarfaraz Shahid
kuchh mah-jabin libas ke fashion ki dauD mein
pabandi-e-libas se aage nikal gae
Sarfaraz Shahid