aaj diwane ka zauq-e-did pura ho gaya
tujh ko dekha aur us ke baad andha ho gaya
Sardar Saleem
aadshahat ke maze hain KHaksari mein 'salim'
ye nazara yar ke kuche mein rah ke dekhna
Sardar Saleem
fikr o ehsas ke tapte hue manzar tak aa
mere lafzon mein utar kar mere andar tak aa
Sardar Saleem
'ghaalib'-e-dana se puchho ishq mein paD kar salim
ek maqul aadmi kaise nikamma ho gaya
Sardar Saleem
kuchh aisa ho ki taswiron mein jal jae tasawwur bhi
mohabbat yaad aaegi to shikwe yaad aaenge
Sardar Saleem
nur ki shaKH se TuTa hua patta hun main
waqt ki dhup mein madum hua jata hun
Sardar Saleem
waqt ke sahra mein nange panw Thahre ho 'salim'
dhup ki shiddat yakayak baDh na jae chal paDo
Sardar Saleem