aasman tu ne chhupa rakkha hai suraj ko kahan
kyun kalai mein teri band ghaDi hai ab bhi
Sardar Asif
aata raha hun yaad main us ko tamam umr
is zawiye se ishq mein nakaam kab hua
Sardar Asif
ghazal kahne mein yun to koi dushwari nahin hoti
magar ek masala ye hai ki meyari nahin hoti
Sardar Asif
ho lene do barish hum bhi ro lenge
dil mein hain kuchh zaKHm purane dho lenge
Sardar Asif
KHat ho koi kitab ho ya dil ka zaKHm ho
jo bhi hai mere pas nishani usi ki hai
Sardar Asif
KHata us ki muafi se baDi hai
main kya karta saza deni paDi hai
Sardar Asif
koi shikwa nahin hum ko kisi se
KHud apni zat hum ko chhal rahi hai
Sardar Asif
main KHud ko dekhun agar dusre ki aankhon se
milengi KHamiyan apne hi shah-karon mein
Sardar Asif
main tujh se jhuk ke mila hun magar ye dhyan rahe
baDa nahin hun magar tujh se qad mein kam bhi nahin
Sardar Asif