dar-ba-dar hone se pahle kabhi socha bhi na tha
ghar mujhe ras na aaya to kidhar jaunga
Saqi Amrohvi
KHwab tha ya shabab tha mera
do sawalon ka ek jawab hun main
Saqi Amrohvi
kitne hi gham nikharne lagte hain
ek lamhe ki shadmani se
Saqi Amrohvi
madrasa mera meri zat mein hai
KHud moallim hun KHud kitab hun main
Saqi Amrohvi
mein ab tak din ke hangamon mein gum tha
magar ab sham hoti ja rahi hai
Saqi Amrohvi
mujh ko kya kya na dukh mile 'saqi'
mere apnon ki mehrbani se
Saqi Amrohvi
tu nahin to tera KHayal sahi
koi to ham-KHayal hai mera
Saqi Amrohvi
zindagi bhar mujhe is baat ki hasrat hi rahi
din guzarun to koi raat suhani aae
Saqi Amrohvi