aag bhi barsi daraKHton par wahin
kal basti mein jahan pani ka tha
Saleem Shahzad
an-kahi kah an-suni baaten suna
rah gaya jo kuchh bhi socha soch le
Saleem Shahzad
aaton mein hai us ki zahr thoDa
thoDa sa maza sharab jaisa
Saleem Shahzad
hawa ki zad mein patte ki tarah tha
wo ek zaKHmi parinde ki tarah tha
Saleem Shahzad
kab tak in aawara maujon ka tamasha dekhna
gin chuke ho saaton ke tar to wapas chalo
Saleem Shahzad
use pata hai ki rukti nahin hai chhanw kabhi
to phir wo abr ko kyun saeban samajhta hai
Saleem Shahzad
wahm o KHirad ke mare hain shayad sab log
dekh raha hun shishe ke ghar chaaron o
Saleem Shahzad
zard patte mein koi nuqta-e-sabz
apne hone ka pata kafi hai
Saleem Shahzad