ai shama ahl-e-bazm to baiThe hi rah gae
kahne ki thi jo baat wo parwana kah gaya
Sahir Siyalkoti
aDhi hai KHana-e-dil mein kuchh aur tariki
charagh-e-ishq jalaya tha raushni ke liye
Sahir Siyalkoti
gulon ko toDte hain sunghte hain phenk dete hain
ziyaada bhi numaish husn ki achchhi nahin hoti
Sahir Siyalkoti
hoti hai dusron ko hamesha ye nagawar
apne siwa kisi ko nasihat na kijiye
Sahir Siyalkoti
KHulus-e-shauq mein 'sahir' baDi tasir hoti hai
wahin kaba simaT aaya jabin hum ne jahan rakh di
Sahir Siyalkoti
sambhal kar panw rakhna wadi-e-ishq-o-mohabbat mein
yahan jo sair ko aata hai bach kar kam nikalta hai
Sahir Siyalkoti
ye kyunkar man len ulfat hamein karni nahin aati
kiya hai kaam hi kya aur ulfat ke siwa hum ne
Sahir Siyalkoti