aaKHir taDap taDap ke ye KHamosh ho gaya
dil ko sukun mil hi gaya iztirab mein
Sahir Hoshiyarpuri
ab to ehsas-e-tamanna bhi nahin
qafila dil ka luTa ho jaise
Sahir Hoshiyarpuri
ahl-e-kashti ne KHud-kushi ki thi
hua badnam naKHuda ka nam
Sahir Hoshiyarpuri
apni apni zat mein gum hain ahl-e-dil bhi ahl-e-nazar bhi
mahfil mein dil kyunkar bahle mahfil mein tanhai bahut hai
Sahir Hoshiyarpuri
dil wo sahra hai ki jis mein raat din
phul khilte hain bahaar aati nahin
Sahir Hoshiyarpuri
hum ko aghyar ka gila kya hai
zaKHm khaen hain hum ne yaron se
why should enemies be my reason to complain
when at the hands of friends, I have suffered pain
Sahir Hoshiyarpuri
hum qarib aa kar aur dur hue
apne apne nasib hote hain
Sahir Hoshiyarpuri
hui thi KHwab mein KHushbu si mahsus
tum aae KHwab ki tabir dekhi
Sahir Hoshiyarpuri
jab bigaDte hain baat baat pe wo
wasl ke din qarib hote hain
Sahir Hoshiyarpuri