aate hue is tan mein na jate hue tan se
hai jaan-e-makin ko na lagawaT na rukawaT
Sahir dehlavi
ahd-e-misaq ka lazim hai adab ai waiz
hai ye paiman-e-wafa rishta-e-zunnar na toD
Sahir dehlavi
ai pari-ru tere diwane ka iman kya hai
ek nigah-e-ghalat-andaz pe qurban hona
Sahir dehlavi
ayan 'alim' se hai jism-o-jaan ka ilhaq
makin makan mein na hota to la-makan hota
Sahir dehlavi
azal se ham-nafasi hai jo jaan-e-jaan se hamein
payam dam-ba-dam aata hai la-makan se hamein
Sahir dehlavi
e-nishan sahir nishan mein aa ke shayad ban gaya
la-makan ho kar makan mein KHud makin hota raha
Sahir dehlavi
gham-e-maujud ghalat aur gham-e-farda baatil
rahat ek KHwab hai jis ki koi tabir nahin
Sahir dehlavi
hai sanam-KHana mera paiman-e-ishq
zauq-e-mai-KHana mujhe saman-e-ishq
Sahir dehlavi
hum gada-e-dar-e-mai-KHana hain ai pir-e-mughan
kaam apna tere sadqe mein chala lete hain
Sahir dehlavi