as is KHayal se dekha tamam logon ko
jo aaj aise hain kaise wo kal rahe honge
Sagheer Malal
ek lamhe mein zamana hua taKHliq 'malal'
wahi lamha hai yahan aur zamana hai wahi
Sagheer Malal
ek rahne se yahan wo mawara kaise hua
sab se pahla aadmi KHud se juda kaise hua
Sagheer Malal
ghar ke bare mein yahi jaan saka hun ab tak
jab bhi lauTo koi darwaza khula hota hai
Sagheer Malal
hai ek umr se KHwahish ki dur ja ke kahin
main KHud ko ajnabi logon ke darmiyan dekhun
Sagheer Malal
mere bare mein jo suna tu ne
meri baaton ka ek hissa hai
Sagheer Malal
aushni hai kisi ke hone se
warna buniyaad to andhera tha
Sagheer Malal
sab sawalon ke jawab ek se ho sakte hain
ho to sakte hain magar aisa kahan hota hai
Sagheer Malal
samajhta hun main agar sab alamaten us ki
to phir wo meri tarah se hi sochta hoga
Sagheer Malal