anawaT ho to aisi ho ki jis se sadgi Tapke
ziyaada ho to asli husn chhup jata hai zewar se
Safi Lakhnavi
den bhi jawab-e-KHat ki na den kya KHabar mujhe
kyun apne sath le na gaya nama-bar mujhe
Safi Lakhnavi
dekhe baghair haal ye hai iztirab ka
kya jaane kya ho parda jo uTThe naqab ka
Safi Lakhnavi
ghazal us ne chheDi mujhe saz dena
zara umr-e-rafta ko aawaz dena
Safi Lakhnavi
janaza rok kar mera wo is andaz se bole
gali hum ne kahi thi tum to duniya chhoDe jate ho
Safi Lakhnavi
kal hum aaine mein ruKH ki jhurriyan dekha kiye
karwan-e-umr-e-rafta ka nishan dekha kiye
Safi Lakhnavi
KHatm ho jate jo husn o ishq ke naz o ada
shaeri bhi KHatm ho jati nubuwwat ki tarah
Safi Lakhnavi
meri nash ke sirhane wo khaDe ye kah rahe hain
ise nind yun na aati agar intizar hota
Safi Lakhnavi
paigham zindagi ne diya maut ka mujhe
marne ke intizar mein jina paDa mujhe
Safi Lakhnavi