chizen apni jagah pe rahti hain
tirgi bas unhen chhupati hai
Saeed Naqvi
ibtida mujh mein intiha mujh mein
ek mukammal hai waqia mujh mein
Saeed Naqvi
jab aaine dar-o-diwar par nikal aaen
to shahr-e-zat mein rahna bhi ek qayamat hai
Saeed Naqvi
kuchh log the safar mein magar ham-zaban na the
hai lutf guftugu ka jo apni zaban mein ho
Saeed Naqvi
main apne sare sawalon ke jaanta hun jawab
mera sawal mere zehn ki shararat hai
Saeed Naqvi
main dur dur se KHud ko uTha ke lata raha
ki TuT jaun to phir dur tak bikharta hun
Saeed Naqvi
tu meri tishna-labi par sawal karta hai
samundaron pe banaya tha apna ghar main ne
Saeed Naqvi
ye KHud-nawisht to mujh ko adhuri lagti hai
jo ho sake to naya intisab mangun main
Saeed Naqvi