hum bhi usi ke sath gae hosh se 'said'
lamha jo qaid-e-waqt se bahar chala gaya
Saeed Ahmad
jal thal ka KHwab tha ki kinare Dubo gaya
tanha kanwal bhi jhil se bahar nikal paDa
Saeed Ahmad
jo tere KHitta-e-be-ab ki KHwahish na bana
kulbulata hai wo dariya kisi kohsar mein gum
Saeed Ahmad
KHushk patton mein kisi yaad ka shoala hai 'said'
main bujhata hun magar aag bhaDak jati hai
Saeed Ahmad
kuchh log ibtida-e-rifaqat se qabl hi
aainda ke har ek guzishta tak aa gae
Saeed Ahmad
mera wajud hawala tera hua aaKHir
to kha gaya na mujhe tu mere sawal-e-qadim
Saeed Ahmad
sab karishme talluqat ke hain
KHak uDti hai KHak-dan mein kya
Saeed Ahmad
shorish-e-waqt hui waqt ki raftar mein gum
din guzarte hain tere KHwab ke aasar mein gum
Saeed Ahmad
us din se paniyon ki tarah bah rahe hain hum
jis din se pattharon ka irada samajh liya
Saeed Ahmad