abr ka saya o sabza rah ka
jaan-e-man rath ki sawari yaad hai
Sadruddin Mohammad Faez
jo kahiye us ke haq mein kam hai be-shak
pari hai hur hai ruh-ul-amin hai
Sadruddin Mohammad Faez
kare rashk-e-gulistan dil ko 'faez'
mera sajan bahaar-e-anjuman hai
Sadruddin Mohammad Faez
main ne kaha ki ghar chalegi mere sath aaj
kahne lagi ki hum sun na kar baat tu buri
Sadruddin Mohammad Faez
pani howe aarsi us mukh ko dekh
zohra use kya ki iqamat kare
Sadruddin Mohammad Faez
aat din tu rahe raqiban-sang
dekhna tera mujh muhaal hua
Sadruddin Mohammad Faez
tujh ko hai hum se judai aarzu
mere dil mein shauq hai didar ka
Sadruddin Mohammad Faez
ushshaq jaan-ba-kaf khaDe hain tere aas-pas
ai dil-ruba-e-ghaarat-e-jaan apne fan mein aa
Sadruddin Mohammad Faez
wahi qadr 'faez' ki jaane bahut
jise ishq ka zaKHm kari lage
Sadruddin Mohammad Faez