apne gale pe chalti chhuri ka bhi dhyan rakh
wo tez hai ya kund zara dhaar dekh le
Sadiq
fursat ho to ye jism bhi miTTi mein daba do
lo phir main zaman aur makan se nikal aaya
Sadiq
guman na tha ki lifafe mein KHat ke badle wo
lahu-luhan taDapti zaban rakh dega
Sadiq
is ghumti zamin ka mehwar hi toD do
be-kar gardishon pe KHafa ho rahe hun kyun
Sadiq
kaT aagahiyon ki fasl magar
zehan mein kuchh nae sawal uga
Sadiq
un ki yaad mein bahte aansu KHushk agar ho jaenge
sat samundar apni KHali aaankhon mein bhar launga
Sadiq
uTha hi laya sabhi raste wo kandhon par
yaqin us pe na karta to main kidhar jata
Sadiq