ji bhar ke tumhein dekh lun taskin ho kuchh to
mat shama bujhao ki abhi raat bahut hai
Sabir Dutt
KHwabon se na jao ki abhi raat bahut hai
pahlu mein tum aao ki abhi raat bahut hai
Sabir Dutt
log karte hain KHwab ki baaten
hum ne dekha hai KHwab aankhon se
Sabir Dutt
muddaton baad uThae the purane kaghaz
sath tere meri taswir nikal aai hai
Sabir Dutt
phir lai hai barsat teri yaad ka mausam
gulshan mein naya phul khila dekh raha hun
Sabir Dutt
uKH un ka kahin aur nazar aur taraf hai
kis samt se aati hai qaza dekh raha hun
Sabir Dutt
ye kaisi siyasat hai mere mulk pe hawi
insan ko insan se juda dekh raha hun
Sabir Dutt
zulf ki sham subh chehre ki
yahi mausam janab de dije
Sabir Dutt