aad mein rakhe sarabon ke dayaron mein qadam
pahle wo sans ki sarhad pe to aa kar dekhe
Riyaz Latif
as lahu ki bund thi ehsas mein
phir ugaya dasht ne ek sar naya
Riyaz Latif
kabhi to manzaron ke is tilism se ubhar sakun
khaDa hun dil ki sath par KHud apne intizar mein
Riyaz Latif
KHuda ki KHamoshi mein shayad ho us ka wajud
zamana hua nam apna pukare hue
Riyaz Latif
kisi ne hum ko ata nahin ki hamari gardish hai apni gardish
KHud apni marzi se is jahan ki ragon mein girdab hum hue hain
Riyaz Latif
yahin par KHatm honi chahiye thi ek duniya
yahin se baat ka aaghaz hona chahiye tha
Riyaz Latif
zamin phail gai hai hamari ruh talak
jahan ka shor ab andar sunai deta hai
Riyaz Latif