chashma-e-nab na baDh kar junun sailab bane
bah na jae ki ye miTTi ka makan hai ab ke
Razi Raziuddin
chhalka paDa hai chehron se ek wahshat-e-junun
phaila paDa hai ishq ka bazar KHair ho
Razi Raziuddin
diwana-e-khirad ho ki majnun-e-ishq ho
rahna hai us ko chaak-gareban kiye hue
Razi Raziuddin
dil ko jalae rakkha hai hum ne charagh sa
is ghar mein hum hain aur tera intizar hai
Razi Raziuddin
dushman-e-jaan hain sabhi sare ke sare qatil
tu bhi is bhiD mein kuchh der Thahar ja ai dil
Razi Raziuddin
is andhere mein jalte chand charagh
rakhte kis kis ka wo bharam honge
Razi Raziuddin
jagah bachi hi nahin dil pe choT khane ki
uTha lo kash ye aadat jo aazmane ki
Razi Raziuddin
nashsha-e-yar ka nasha mat puchh
aisi masti kahan sharabon mein
Razi Raziuddin
qalb-o-jigar ke dagh farozan kiye hue
hain hum bhi ehtimam-e-bahaaran kiye hue
Razi Raziuddin