agar chilman ke bahar wo but-e-kafir-ada nikle
zaban-e-shaiKH se salle-ala salle-ala nikle
Ranjoor Azimabadi
uton mein kis bala ki hai kashish allah hi jaane
chale the shauq-e-kaba mein sanam-KHane mein ja nikle
Ranjoor Azimabadi
deta hai mujh ko charKH-e-kuhan bar bar dagh
uf ek mera sina hai us par hazar dagh
Ranjoor Azimabadi
dikha kar zahr ki shishi kaha 'ranjur' se us ne
ajab kya teri bimari ki ye hakmi dawa nikle
Ranjoor Azimabadi
hota hai saf ru-e-kitabi se ye ayan
kafir hai go wo but magar ahl-e-kitab hai
Ranjoor Azimabadi
mujh ko kafi hai bas ek tera muafiq hona
sari duniya bhi muKHalif ho to kya hota hai
Ranjoor Azimabadi