aansu jo bahen surKH to ho jati hain aankhen 
dil aisa sulagta hai dhuan tak nahin aata
Ram Riyaz
ab kahan wo pahli si fursaten mayassar hain 
sara din safar karna sari raat gham karna
Ram Riyaz
hum os ke qatre hain ki bikhre hue moti 
dhoka nazar aae to hamein rol ke dekho
Ram Riyaz
jo tere gham mein jale hain wo phir bujhe hi nahin 
jab in ki rakh kuredo sharare zinda hain
Ram Riyaz
tere intizar mein is tarah mera ahad-e-shauq guzar gaya 
sar-e-sham jaise bisat-e-dil koi KHasta-haal sameT le
Ram Riyaz
zindagi kashmakash-e-waqt mein guzri apni 
din ne jine na diya raat ne marne na diya
Ram Riyaz
zindagi to sapna hai kaun 'ram' apna hai 
kya kisi ko dukh dena kya kisi ka gham karna
Ram Riyaz

