aaine ko toDa hai to malum hua hai
guzra hun kisi dasht-e-KHatarnak se aage
Rafi Raza
dhup chhanw ka koi khel hai binai bhi
aankh ko DhunD ke laya hun to manzar gum hai
Rafi Raza
ek din apna sahifa mujh pe nazil ho gaya
us ko paDhte hi meri sari KHataen mar gain
Rafi Raza
ek majzub udasi mere andar gum hai
is samundar mein koi aur samundar gum hai
Rafi Raza
ek ujDi hui hasrat hai ki pagal ho kar
bain har shahr mein karti hui dekhi gai hai
Rafi Raza
kis ne roka hai sar-e-rah-e-mohabbat tum ko
tumhein nafrat hai to nafrat se tum aao jao
Rafi Raza
main samne se uTha aur lau larazne lagi
charagh jaise koi baat karne wala tha
Rafi Raza
paDa hua hun main sajde mein kah nahin pata
wo baat jis se ki halka ho kuchh zaban ka bojh
Rafi Raza
tu KHud apni misal hai wo to hai
isi apni misal mein mujhe mil
Rafi Raza