aatish-e-ishq se bachiye ki yahan hum ne bhi
mom ki tarah se patthar ko pighalte dekha
Quaiser Khalid
ab is tarah bhi riwayat se inhiraf na kar
badal agarche tu achchha na de, KHarab to de
Quaiser Khalid
aaton se phul jhaDte the lekin KHabar na thi
ek din labon se un ke hi nashtar bhi aaenge
Quaiser Khalid
Dal di pairon mein us shaKHs ke zanjir yahan
waqt ne jis ko zamane mein uchhalte dekha
Quaiser Khalid
ho pae kisi ke hum bhi kahan yun koi hamara bhi na hua
kab Thahri kisi ek par bhi nazar kya chiz hai shahr-e-KHuban bhi
Quaiser Khalid
kuchh tu hi bata aaKHir kyun-kar tere bandon par
har shab hai nai aafat har roz musibat hai
Quaiser Khalid
mohmal hai na jaanen to, samjhen to wazahat hai
hai zist faqat dhoka aur maut haqiqat hai
Quaiser Khalid
tere bin hayat ki soch bhi gunah thi
hum qarib-e-jaan tera hisar dekhte rahe
Quaiser Khalid
umr bhar khul nahin pate hain rumuz-o-asrar
log kuchh samne rah kar bhi nihan hote hain
Quaiser Khalid