ab main samjha tere ruKHsar pe til ka matlab
daulat-e-husn pe darban biTha rakkha hai
The import of this spot upon your face I now detect
The treasure of your beauty does this sentinel protect
Qamar Moradabadi
dair o kaba se jo ho kar guzre
dost ki rahguzar yaad aai
Qamar Moradabadi
gham ki tauhin na kar gham ki shikayat kar ke
dil rahe ya na rahe azmat-e-gham rahne de
belittle not these sorrows, of them do not complain
their glory be preserved, tho heart may not remain
Qamar Moradabadi
harf aane na diya ishq ki KHuddari par
kaam nakaam tamanna se liya hai main ne
Qamar Moradabadi
jis qadar jazb-e-mohabbat ka asar hota gaya
ishq KHud tark o talab se be-KHabar hota gaya
Qamar Moradabadi
kisi ki rah mein kanTe kisi ki rah mein phul
hamari rah mein tufan hai dekhiye kya ho
Qamar Moradabadi
lazzat-e-dard-e-jigar yaad aai
phir teri pahli nazar yaad aai
Qamar Moradabadi
manzilon ke nishan nahin milte
tum agar na-gahan nahin milte
Qamar Moradabadi
muddaton baad jo is rah se guzra hun 'qamar'
ahd-e-rafta ko bahut yaad kiya hai main ne
Qamar Moradabadi