aaegi har taraf se hawa dastaken liye
uncha makan bana ke bahut khiDkiyan na rakh
Prem Kumar Nazar
ahut lambi masafat hai badan ki
musafir mubtadi thakne laga hai
Prem Kumar Nazar
dil-e-tabah ki iza-parastiyan malum
jo dastaras mein na ho us ki justuju karna
Prem Kumar Nazar
ek angDai se sare shahr ko nind aa gai
ye tamasha main ne dekha baam par hota hua
Prem Kumar Nazar
ho raha hai pas-e-diwar bhi kuchh
jaane kya karta hai karne wala
Prem Kumar Nazar
ji chahta hai hath laga kar bhi dekh len
us ka badan qaba hai ki us ki qaba badan
Prem Kumar Nazar
kahen hain reKHta punjab mein nazar-sahib
ba-qadr-e-zauq tum un ki suno hua so hua
Prem Kumar Nazar
lafz chhin jaen magar tahrir ho raushan jahan
honT hon KHamosh lekin guftugu baqi rahe
Prem Kumar Nazar
main bhi talash-e-ab-e-hawas mein nikla hun
shor suna tha ek chashme ke ubalne ka
Prem Kumar Nazar