abhi se subh-e-gulshan raqs-farma hai nigahon mein
abhi puri naqab ulTi nahin hai sham-e-sahra ne
Parvez Shahidi
git hariyali ke gaenge sisakte hue khet
mehnat ab ghaarat-e-jagir tak aa pahunchi hai
Parvez Shahidi
guzra hai kaun phul khilata KHiram se
'shadab' aaj rahguzar pa raha hun main
Parvez Shahidi
meri zindagi ki zinat hui aafat-o-bala se
main wo zulf-e-KHam-ba-KHam hun jo sanwar gai hawa se
Parvez Shahidi
na jaane kah gae kya aap muskurane mein
hai dil ko naz ki jaan aa gai fasane mein
Parvez Shahidi
saKHt-jaan wo hun ki maqtal se sar-afraaz aaya
kitni talwaron ko deta hua aawaz aaya
Parvez Shahidi
yaad hain aap ke toDe hue paiman hum ko
kijiye aur na sharminda-e-ehsan hum ko
Parvez Shahidi
ye taj ke sae mein zar-o-sim ke KHirman
kyun aatish-e-kashkol-e-gada se nahin Darte
Parvez Shahidi