aansuon mein mere kandhe ko Dubone wale
puchh to le ki mere jism ka sahra hai kahan
Pallav Mishra
aansuon se mere kandhe ko Dubone wale
puchh to le ki mere jism ka sahra hai kahan
Pallav Mishra
makin-e-dil ko KHanuma-KHarabiyon se ishq tha
qayam DhunDhta raha tumhaari chhat ke baad bhi
Pallav Mishra
tamam hosh zabt ilm maslahat ke baad bhi
phir ek KHata main kar gaya tha mazarat ke baad bhi
Pallav Mishra
wo nasha hai ke zaban aql se karti hai fareb
tu meri baat ke mafhum pe jata hai kahan
Pallav Mishra
wo nasha hai ki zaban aql se karti hai fareb
tu meri baat ke mafhum pe jata hai kahan
Pallav Mishra
ye jism tang hai sine mein bhi lahu kam hai
dil ab wo phul hai jis mein ki rang-o-bu kam hai
Pallav Mishra