aisa na ho ye raat koi hashr uTha de
uThta hai sitaron se dhuan jagte rahna
Owais Ahmad Dauran
ahti nahin hai mard ki aaankhon se ju-e-ashk
lekin hamein batao ki hum kis liye hansen
Owais Ahmad Dauran
e-daron ki duniya kabhi luTti nahin 'dauran'
ek shama liye tum bhi yahan jagte rahna
Owais Ahmad Dauran
hum shaer-e-hayat hain hum shaer-e-hayat!
'dauran' wo surKH rang ka parcham to do hamein
Owais Ahmad Dauran
kuchh dard ke mare hain kuchh naz ke hain pale
kuchh log hain hum jaise kuchh log hain tum jaise
Owais Ahmad Dauran
paiwand ki tarah nazar aata hai bad-numa
puKHta makan kachche gharon ke hujum mein
Owais Ahmad Dauran
sab mastiyon mein phenko na patthar idhar udhar
diwano! is dayar mein shishe ke ghar bhi hain
Owais Ahmad Dauran
shayad kisi ki yaad ka mausam phir aa gaya
pahlu mein dil ki tarah dhaDakne lagi hai sham
Owais Ahmad Dauran
un makanon mein bhi insan hi rahte honge
raunaqen jin mein nahin aap ki mahfil ki si
Owais Ahmad Dauran