apna sach us ko sunane ke liye
hum ko qisson ka hawala chahiye
Obaid Haris
hum kitabon mein jise pate hain 'haaris'
aadmi waisa koi milta kahan hai
Obaid Haris
inhen aage nikal jaane do 'haaris'
balaen kab se pichha kar rahi hain
Obaid Haris
KHali diwar buri lagti hai
meri taswir hi rahne dete
Obaid Haris
kholo na koi aib kisi ka bhi yahan par
aaseb ko mil jaega darwaza khula sa
Obaid Haris
naya chaar din mein purana hua
yahi sab hua to naya kya hua
Obaid Haris
sadaen Dubti hain jab
KHamoshi muskuraati hai
Obaid Haris
tah-ba-tah khulti hi rahti hai sada
'mir' ke diwan si hai zindagi
Obaid Haris
waqt badla soch badli baat badli
hum se bachche kah rahe hain hum nae hain
Obaid Haris