dil ka kya hai dil ne kitne manzar dekhe lekin
aankhen pagal ho jati hain ek KHayal se pahle
Noshi Gilani
jalae rakkhungi subh tak main tumhaare raston mein apni aankhen
magar kahin zabt TuT jae to barishen bhi shumar karna
Noshi Gilani
kisi harf mein kisi bab mein nahin aaega
tera zikr meri kitab mein nahin aaega
Noshi Gilani
kuchh nahin chahiye tujh se ai meri umr-e-rawan
mera bachpan mere jugnu meri guDiya la de
Noshi Gilani
main faisle ki ghaDi se guzar chuki hun magar
kisi ka dida-e-hairan meri talash mein hai
Noshi Gilani
main tanha laDki dayar-e-shab mein jalaun sach ke diye kahan tak
siyahkaron ki saltanat mein main kis tarah aaftab likkhun
Noshi Gilani
titliyan jugnu sabhi honge magar dekhega kaun
hum saja bhi len agar diwar-o-dar dekhega kaun
Noshi Gilani
tujh se ab aur mohabbat nahin ki ja sakti
KHud ko itni bhi aziyyat nahin di ja sakti
Noshi Gilani
us shahr mein kitne chehre the kuchh yaad nahin sab bhul gae
ek shaKHs kitabon jaisa tha wo shaKHs zabani yaad hua
Noshi Gilani