a-zahir dasht ki jaanib to baDhta ja raha hai
magar sab raste bhi yaad karta ja raha hai
Nishant Shrivastava Nayab
chuDiyan kyun utar din tum ne
subhen kitni udas rahti hain
Nishant Shrivastava Nayab
ek bhi patthar na aaya rah mein
nind mein hum umr bhar chalte rahe
Nishant Shrivastava Nayab
hifazat har kisi ki wo baDi KHubi se karta hai
hawa bhi chalti rahti hai diya bhi jalta rahta hai
Nishant Shrivastava Nayab
junun ko Dhaal banaya to bach gae warna
ye zindagi hamein majbur kar bhi sakti thi
Nishant Shrivastava Nayab
main ek pal mein andhere se haar jaunga
tamam umr charaghon ke bich guzri hai
Nishant Shrivastava Nayab
aat ab apne iKHtitam pe hai
ehtiraman diye bujha dije
Nishant Shrivastava Nayab