aae to dil tha bagh bagh aur gae to dagh dagh
kitni KHushi wo lae the kitna malal de gae
Nazeer Siddiqui
abhi se wo daman chhuDane lage ho
jo ab tak mere hath aaya nahin hai
Nazeer Siddiqui
aur hi wo log hain jin ko hai yazdan ki talash
mujh ko insanon ki duniya mein hai insan ki talash
Nazeer Siddiqui
hum se shikayaten baja hum ko bhi hai magar gila
pahle se hum nahin agar pahle se aap bhi nahin
Nazeer Siddiqui
jis darja nek hone ki milti rahi hai dad
us darja nek banne ka arman kabhi na tha
Nazeer Siddiqui
jo log maut ko zalim qarar dete hain
KHuda milae unhen zindagi ke maron se
Nazeer Siddiqui
kisi ki mehrbani se mohabbat mutmain kya ho
mohabbat to mohabbat se bhi aasuda nahin hoti
Nazeer Siddiqui
aat se shikayat kya bas tumhin se kahna hai
tum zara Thahar jao raat kab Thaharti hai
Nazeer Siddiqui