aaine se mujh dal ke tahayyur ko mila dekh
ye donon barabar hain koi besh na kam hai
nayan sukh
aage ko baDh sake hai na pichhe ko haT sake
yan tak tere KHayal mein ab DaT gaya hai dil
nayan sukh
aur sab 'mani' ne teri to banai taswir
par durust ho na saki chehre ki parwaz hanuz
nayan sukh
chaTpaTi dil ki bujhi yar ke dekhe se yun
bhuke ko jaise kahin se goya khana aaya
nayan sukh
dekha hai kahin gul ne tujhe jis ki KHushi se
phula hai wo itna ki qaba mein na samawe
nayan sukh
idhar se sete jao aur udhar se phahTta jae
aise tarah ke kapDe ko phir sije bhi nahin
nayan sukh
is majra ko ja ke kahun kis ke ru-ba-ru
meri to dauD haigi tere aastan tilak
nayan sukh
jawe bhi phir aawe bhi kai shakl se har bar
chakkar mein kahan, par ye maza tan mein dekha
nayan sukh
jitna ki hai ifraat teri kam-nigahi ka
utna hi idhar dekho to ye dida-e-nam hai
nayan sukh