aazadiyon ka haq na ada hum se ho saka
anjam ye hua ki giraftar ho gae
Natiq Lakhnavi
ai shama tujh pe raat ye bhaari hai jis tarah
main ne tamam umr guzari hai is tarah
Natiq Lakhnavi
dil hai kis ka jis mein arman aap ka rahta nahin
farq itna hai ki sab kahte hain main kahta nahin
Natiq Lakhnavi
dil rahe ya na rahe zaKHm bhare ya na bhare
chaarasazon ki KHushamad mujhe manzur nahin
Natiq Lakhnavi
do aalam se guzar ke bhi dil-e-ashiq hai aawara
abhi tak ye musafir apni manzil par nahin aaya
Natiq Lakhnavi
ibtida se aaj tak 'natiq' ki ye hai sarguzisht
pahle chup tha phir hua diwana ab behosh hai
Natiq Lakhnavi
ek dagh-e-dil ne mujh ko diye be-shumar dagh
paida hue hazar charagh is charagh se
Natiq Lakhnavi
kah raha hai shor-e-dariya se samundar ka sukut
jis ka jitna zarf hai utna hi wo KHamosh hai
the river's raging is advised by the tranquil sea
the greater power you possess, the quieter you be
Natiq Lakhnavi
mai-kasho mai ki kami beshi pe nahaq josh hai
ye to saqi jaanta hai kis ko kitna hosh hai
ye who drink, needlessly, argue about the quantity
the maiden knows as she pours, each person's sobriety
Natiq Lakhnavi