اردو हिंदी
Nashtar Khaanqahi Shayari | Shaahi Shayari

Nashtar Khaanqahi Shers

4 Shers

ab tak hamari umr ka bachpan nahin gaya
ghar se chale the jeb ke paise gira diye

Nashtar Khaanqahi




ichhaD kar us se sikha hai tasawwur ko badan karna
akele mein use chhuna akele mein suKHan karna

Nashtar Khaanqahi




meri qimat ko sunte hain to gahak lauT jate hain
bahut kamyab ho jo shai wo hoti hai giran aksa

Nashtar Khaanqahi


Tags: | 2 Lines Shayari |


pursish-e-haal se gham aur na baDh jae kahin
hum ne is Dar se kabhi haal na puchha apna

Nashtar Khaanqahi


Tags: | 2 Lines Shayari |