abhi wo aankh bhi soi nahin hai
abhi wo KHwab bhi jaga hua hai
Naseer Ahmad Nasir
falsafe sare kitabon mein ulajh kar rah gae
dars-gahon mein nisabon ki thakan baqi rahi
Naseer Ahmad Nasir
hawa gum-sum khaDi hai raste mein
musafir soch mein Duba hua hai
Naseer Ahmad Nasir
jab pukara kisi musafir ne
raste khaiyon mein chiKH uThe
Naseer Ahmad Nasir
KHamoshi jhankti hai khiDkiyon se
gali mein shor sa phaila hua hai
Naseer Ahmad Nasir
log phirte hain bhare shahr ki tanhai mein
sard jismon ki salibon pe uTha kar chehre
Naseer Ahmad Nasir
mohabbat ke Thikane DhunDhti hai
badan ki la-makani mausamon mein
Naseer Ahmad Nasir
aat bhar KHwab dekhne wale
din ki sachchaiyon mein chiKH uThe
Naseer Ahmad Nasir