aad marne ke bhi arman yahi hai ai dost
ruh meri tere aaghosh-e-mohabbat mein rahe
Nadir Shahjahanpuri
hare rahte hain ashk aankhon mein har dam
meri har sans mein ab gham ki bu hai
Nadir Shahjahanpuri
insan ke dil ko hi koi saz nahin hai
kis parde mein warna teri aawaz nahin hai
Nadir Shahjahanpuri
jal bujhunga bhaDak ke dam bhar mein
main hun goya diya diwali ka
Nadir Shahjahanpuri
jo bhi de de wo karam se wahi le le 'nadir'
munh se mango to KHuda aur KHafa hota hai
Nadir Shahjahanpuri
kisi se phir main kya ummid rakkhun
meri ummid to yarab tu hi hai
Nadir Shahjahanpuri
matlab ka zamana hai 'nadir' koi kya dega
mujh soKHta-e-qismat ko dega to KHuda dega
Nadir Shahjahanpuri
nang hai raaz-e-mohabbat ka numayan hona
mar bhi jaun main agar tum na pareshan hona
Nadir Shahjahanpuri
pattharon pe nam likhta hun tera
dekh tu o but meri diwangi
Nadir Shahjahanpuri