duniya badal gai thi koi gham na tha mujhe
tum bhi badal gae the ye hairani kha gai
Nadeem Gullani
nahin hai jis ka hal ab to koi 'nadim' bas ek siwa tumhaare
main ek aisa hi masala hun mujhe duaon mein yaad rakhna
Nadeem Gullani
tamam umr tere intizar mein hamdam
KHizan-rasida raha hun bahaar kar mujh ko
Nadeem Gullani
tujh se main jang ka elan bhi kar hi dunga
mere dushman tu mere qad ke barabar to aa
Nadeem Gullani
tumhein hamari mohabbaton ke hasin jazbe bula rahe hain
jo hum ne likkhe the tum pe hamdam wo sare naghme bula rahe hain
Nadeem Gullani
tu samajhta hai gar fuzul mujhe
kar ke himmat zara sa bhul mujhe
Nadeem Gullani
umr bhar rahna hai tabir se gar dur tumhein
phir mere KHwab mein aane ki zarurat kya hai
Nadeem Gullani