aur koi pahchan meri banti hi nahin
jaante hain sab log ki bas tera hun main
Nadeem Bhabha
ad-nasibi ki ishq kar ke bhi
koi dhoka nahin hua mere sath
Nadeem Bhabha
dil mubtala-e-hijr rifaqat mein rah gaya
lagta hai koi farq mohabbat mein rah gaya
Nadeem Bhabha
dil se ek yaad bhula di gai hai
kisi ghaflat ki saza di gai hai
Nadeem Bhabha
hum ghulami ko muqaddar ki tarah jaante hain
hum teri jit teri mat se nikle hue hain
Nadeem Bhabha
kuchh is liye bhi akela sa ho gaya hun 'nadim'
sabhi ko dost banaya hai dushmani nahin ki
Nadeem Bhabha
main lau mein lau hun, alaw mein hun alaw 'nadim'
so har charagh mera e'tiraf karta raha
Nadeem Bhabha
mohabbat ne akela kar diya hai
main apni zat mein ek qafila tha
Nadeem Bhabha
mohabbat, hijr, nafrat mil chuki hai
main taqriban mukammal ho chuka hun
Nadeem Bhabha