anne lage hain dagh sitare KHusha nasib
tarik aasman shab-e-intizar tha
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
dekhna hai kis mein achchhi shakl aati hai nazar
us ne rakkha hai mere dal ke barabar aaina
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
fana hone mein soz-e-shama ki minnat-kashi kaisi
jale jo aag mein apni use parwana kahte hain
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
fikr-e-maal thi na gham-e-rozgar tha
hum the jahan mein aur tera intizar tha
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
guftugu ki tum se aadat ho gai hai warna mein
jaanta hun baat karti hai kahin taswir bhi
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
sunta hun ki KHirman se hai bijli ko bahut lag
han ek nigah-e-ghalat-andaz idhar bhi
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
tamhid thi junun ki gareban hua jo chaak
yani ye KHair-maqdam-e-fasl-e-bahaar tha
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
tum aise be-KHabar bhi shaz honge is zamane mein
ki dil mein rah ke andaza nahin hai dil ki haalat ka
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
wahshiyon ko qaid se chhuTe hue muddat hui
gunjta hai shor ab tak kan mein zanjir ka
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi