adab baKHsha hai aisa rabt-e-alfaz-e-munasib ne
do-zanu hai meri tab-e-rasa tarkib-e-urdu se
Munshi Khairati Laal Shagufta
adab baKHsha hai aisa rabt-e-alfaz-e-munasib ne
do-zanu hai meri tab-e-rasa tarkib-e-urdu se
Munshi Khairati Laal Shagufta
a-shakl-e-naKHun-e-angusht sar kaTane se
hayat milti hai jab intiqal hota hai
Munshi Khairati Laal Shagufta
dekho nigah-e-shauq se meri taraf mujhe
ye muddaa hai aur koi muddaa nahin
Munshi Khairati Laal Shagufta
dil hai nisar mardumak-e-chashm-e-dost par
bimar ko hai mardum-e-bimar se gharaz
Munshi Khairati Laal Shagufta
haT na kar ai duKHt-e-raz betabiyan baDh jaengi
gir paDegi panw par dastar-e-mina dekhna
Munshi Khairati Laal Shagufta
jo husn-o-ishq ka ham-wazn imtihan Thahra
wo be-dahan nazar aaya mein be-zaban Thahra
Munshi Khairati Laal Shagufta
main wo shaida-e-gesu hun ki aksar mausam-e-gul mein
mera pa-e-nazar paDta hai zanjir-e-gulistan pa
Munshi Khairati Laal Shagufta
meri jaanib ko karwaT le ke gar mujh se lipaT jao
abhi dene lage meri tarah tum ko dua karwaT
Munshi Khairati Laal Shagufta