aankh apni teri abru pe jami rahti hai
roz is bait pe hum sad kiya karte hain
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
chaar bose to diya kijiye tanKHwah mujhe
ek bose pe mera KHak guzara hoga
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
har ek fiqre pe hai jhiDki to hai har baat par gali
tum aise KHub-surat ho ke itne bad-zaban kyun ho
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
hidayat shaiKH karte the bahut bahr-e-namaz akasr
jo paDhna bhi paDi to hum ne Tali be-wazu barson
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
hujum-e-ranj-o-gham-o-dard hai marun kyunkar
qadam uThaun jo aage kushada rah mile
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
jo tere gunah baKHshega waiz wo mere bhi
kya tera KHuda aur hai bande ka KHuda au
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
kafir ho phir jo shara ka kuchh bhi kare KHayal
jab jam bhar ke hath se yar apne de shara
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
malak-ul-maut moazzin hai mera wasl ki raat
dam nikal jata hai jab waqt-e-azan aata hai
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
na laDao nazar raqibon se
kaam achchha nahin laDai ka
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni