gham na apna na ab KHushi apni
yani duniya badal gai apni
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
gham-o-karb-o-alam se dur apni zindagi kyun ho
yahi jine ka saman hain to phir in mein kami kyun ho
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
ghubar-e-zindagi mein laila-e-maqsud kya mani
wo diwane hain jo is gard ko mahmil samajhte hain
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
jab se fareb-e-zist mein aane laga hun main
KHud apni mushkilon ko baDhane laga hun main
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
jis ne ji bhar ke tajalli ko kabhi dekha ho
koi aisa bhi teri jalwa-gah-e-naz mein hai
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
kahan rah jae thak kar rah-naward-e-gham KHuda jaane
hazaron manzilen hain manzil-e-aram aane tak
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
talash-e-surat-e-taskin na kar auham-hasati mein
dil-e-mahzun bahal sakta nahin is naqsh-e-baatil se
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
usi ko hum samajh lete hain apna sadgi dekho
jo apne sath rah-e-shauq mein do gam aata hai
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar