astiyan kaise na mamnun hon diwanon ki
wusaten in mein wahi late hain viranon ki
Mukhtar Siddiqui
ibrat-abaad bhi dil hote hain insanon ke
dad milti bhi nahin KHun-shuda armanon ki
Mukhtar Siddiqui
jin KHayalon ke ulaT pher mein uljhin sansen
un mein kuchh aur bhi sanson ka izafa kar len
Mukhtar Siddiqui
kabhi faslon ki masafaton pe ubur ho to ye kah sukun
mera jurm hasrat-e-qurb hai to yahi kami yahan sab mein hai
Mukhtar Siddiqui
kya kya pukaren sisakti dekhin lafzon ke zindanon mein
chup hi ki talqin kare hai ghairat-mand zamir hamein
Mukhtar Siddiqui
main to har dhup mein sayon ka raha hun juya
mujh se likhwai sarabon ki kahani tum ne
Mukhtar Siddiqui
meri aankhon hi mein the an-kahe pahlu us ke
wo jo ek baat suni meri zabani tum ne
Mukhtar Siddiqui
nur-e-sahar kahan hai agar sham-e-gham gai
kab iltifat tha ki jo KHu-e-sitam gai
Mukhtar Siddiqui
phera bahaar ka to baras do baras mein hai
ye chaal hai KHizan ki jo ruk ruk ke tham gai
Mukhtar Siddiqui