awwal-e-ishq ki saat ja kar phir nahin aai
phir koi mausam pahle mausam sa nahin dekha
Mohammad Khalid
chhuTe hain aaise bar-e-safar se tamam log
jaise kisi ke dosh pe sar bhi nahin raha
Mohammad Khalid
han main shikasta-dil hun magar aaina to hun
tu apna rang dekh mere haal par na ja
Mohammad Khalid
kaf-e-saiyaad dam-e-KHush-numa zanjir o zindan tak
asiri umr ki hogi magar tartib se hogi
Mohammad Khalid
kaun sunta hai hawaon ki ajab sargoshiyan
aur jati hain hawaen dar-ba-dar kis ke liye
Mohammad Khalid
pahle sab aawazen ek shor mein Dhalti hain
phir koi naghma kanon mein ras gholta hai
Mohammad Khalid
ye qissa-e-jaan yun hi mashhur nahin hota
lazim to hamara tha malzum tumhaara hai
Mohammad Khalid