dawar-e-hashr mera nama-e-amal na dekh
is mein kuchh parda-nashinon ke bhi nam aate hain
Mohammad Deen Taseer
hamein bhi dekh ki hum aarzu ke sahra mein
khile hue hain kisi zaKHm-e-arzu ki tarah
Mohammad Deen Taseer
huzur-e-yar bhi aansu nikal hi aate hain
kuchh iKHtilaf ke pahlu nikal hi aate hain
Mohammad Deen Taseer
jis tarah hum ne raaten kaTi hain
us tarah hum ne din guzare hain
Mohammad Deen Taseer
meri wafaen yaad karoge
rooge fariyaad karoge
Mohammad Deen Taseer
mujh ko to barbaad kiya hai
aur kise barbaad karoge
Mohammad Deen Taseer
abt hai husn o ishq mein baham
ek dariya ke do kinare hain
Mohammad Deen Taseer
ye dalil-e-KHush-dili hai mere waste nahin hai
wo dahan ki hai shagufta wo jabin ki hai kushada
Mohammad Deen Taseer
ye Dar hai qafile walo kahin na gum kar de
mera hi apna uThaya hua ghubar mujhe
Mohammad Deen Taseer