dur rahti hain sada un se balaen sahil 
apne man bap ki jo rose dua lete hain
Mohammad Ali Sahil
hum hain tahzib ke alam-bardar 
hum ko urdu zaban aati hai
Mohammad Ali Sahil
jo asasa zindagi ka us ne joDa umr bhar 
maut ka sailab jab aaya to sab kuchh bah gaya
Mohammad Ali Sahil
KHamushi teri meri jaan liye leti hai 
apni taswir se bahar tujhe aana hoga
Mohammad Ali Sahil
koi karta hai jab hindostan ki baat a 'sahil' 
mujhe iqbaal ka qaumi tarana yaad aata hai
Mohammad Ali Sahil
marte dam tak sab mujh ko insan kahen 
aisa hi kirdar mera ho ya-allah
Mohammad Ali Sahil
masale to zindagi mein rose aate hain magar 
zindagi ke masalon ka hal nikalna chahiye
Mohammad Ali Sahil
meri aankhon mein hue raushan jo ashkon ke charagh 
un ke honTon par tabassum ka diya jalta raha
Mohammad Ali Sahil
meri ninden haram kya hongi 
ghar mein rizq-e-halal aata hai
Mohammad Ali Sahil

